Tuesday, August 9, 2011

Woh ek pal

Sometimes a small moment is worth a lifetime. Insaan us ek lamhe main apni tamaam zeest ka safar poora ker le. Apni kul kainat ka nichor us ek lamhe mein daal de. Us lamhe mein apni poori zindagi ji le.
Sahih ghalat, accha bura, us baat ki tameez main woh apni baaki tamam umar guzaar de gaa.
Lekin abhi the 'now' is important. Use jeene keliye use dimaagh ki nahin, dil ki zaroorat hai.

Us ke baat shayad ab yeh baat samajh aa sakti hai, ke kyunkar ek parwaana, ek shama ke gird apni zindagi khaitma ker lene mein hi apne aap ko laafani tassawar karta hai.i.

Us ki is gustaakhi, is sarphiri kaa anjaam jo bhi ho, us ek lamhe keliye woh mehboob se qurbat haasil ker ke apni destiny, apni taqdeer ko poora kar leta hai. Apni zaat ka haasil use is ek lamhe mein mil jaata ha